sab hasrat-o-muraad ka munh band kar diya
lo maine har fasaad ka munh band kar diya
varna to ye zarar bhi bhatkata meri tarah
achha hua mafaad ka munh band kar diya
dekha use kisi ko duaon mein maangte
phir apni hi muraad ka munh band kar diya
tere diye khatoon ko daba kar kitaab mein
ja maine teri yaad ka munh band kar diya
dhoka fareb jhooth ke takie ke zor se
logon ne etimaad ka munh band kar diya
azaad zindagi ko kiya odh ke qafan
yun maine har fasaad ka munh band kar diya
ye meri hoshiyaari thi jo ishq dekh kar
jhat se dil-e-kushaad ka munh band kar diya
usne bhavon se karke sharaarat ishaaron mein
mujh jaise kaj-nihaad ka munh band kar diya
hai kaun uski yaad ka rukh jo badal raha
kyun meri jaayadaad ka munh band kar diya
vo raaz khol de na safar ke kahi sabhi
so us safar-nazaad ka munh band kar diya
सब हसरत-ओ-मुराद का मुँह बंद कर दिया
लो मैंने हर फ़साद का मुँह बंद कर दिया
वरना तो ये ज़रर भी भटकता मेरी तरह
अच्छा हुआ मफ़ाद का मुँह बंद कर दिया
देखा उसे किसी को दुआओं में माँगते
फिर अपनी ही मुराद का मुँह बंद कर दिया
तेरे दिए ख़तों को दबा कर किताब में
जा मैंने तेरी याद का मुँह बंद कर दिया
धोका फ़रेब झूठ के तकिए के ज़ोर से
लोगों ने एतिमाद का मुँह बंद कर दिया
आज़ाद ज़िंदगी को किया ओढ़ के क़फ़न
यूँ मैंने हर फ़साद का मुँह बंद कर दिया
ये मेरी होशियारी थी जो इश्क़ देख कर
झट से दिल-ए-कुशाद का मुँह बंद कर दिया
उसने भवों से करके शरारत इशारों में
मुझ जैसे कज-निहाद का मुँह बंद कर दिया
है कौन उसकी याद का रुख़ जो बदल रहा
क्यूँ मेरी जायदाद का मुँह बंद कर दिया
वो राज़ खोल दे न ‘सफ़र’ के कहीं सभी
सो उस सफ़र-नज़ाद का मुँह बंद कर दिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SHIV SAFAR
our suggestion based on SHIV SAFAR
As you were reading Safar Shayari Shayari