ab zara si bhi khushi pe yaar dukhne lagte hain | अब ज़रा सी भी ख़ुशी पे यार दुखने लगते हैं

  - SHIV SAFAR

ab zara si bhi khushi pe yaar dukhne lagte hain
muskuraa dene se bhi rukhsaar dukhne lagte hain

raah-e-ulfaat mein mile har aabloon ko sah gaya
kya dhukhenge zakham ab khud khaar dukhne lagte hain

chahta hoon main ki tera naam har misre mein ho
zikr se tere magar ashaar dukhne lagte hain

jee mein aata hai ki tujhpe chhed hoon koi ghazal
yaad kuchh aata hai dil ke taar dukhne lagte hain

tum hi ho jisko taras aata nahin warna to ab
mere gham se baatin-e-agyaar dukhne lagte hain

usko lagta hai koi shikwa nahin mujhko magar
kuchh na kah sakne se lab har baar dukhne lagte hain

baat to hogi nahin par dekhne jaaya karo
warna apni qabr mein ham-yaar dukhne lagte hain

maaf beshak mat karo lekin ye chuppi tod do
zor thaame baaju-e-deewaar dukhne lagte hain

अब ज़रा सी भी ख़ुशी पे यार दुखने लगते हैं
मुस्कुरा देने से भी रुख़्सार दुखने लगते हैं

राह-ए-उलफ़त में मिले हर आबलों को सह गया
क्या दुखेंगे ज़ख़्म अब ख़ुद ख़ार दुखने लगते हैं

चाहता हूँ मैं कि तेरा नाम हर मिसरे में हो
ज़िक्र से तेरे मगर अशआर दुखने लगते हैं

जी में आता है कि तुझपे छेड़ हूँ कोई ग़ज़ल
याद कुछ आता है दिल के तार दुखने लगते हैं

तुम ही हो जिसको तरस आता नहीं वर्ना तो अब
मेरे ग़म से बातिन-ए-अग़्यार दुखने लगते हैं

उसको लगता है कोई शिकवा नहीं मुझको मगर
कुछ न कह सकने से लब हर बार दुखने लगते हैं

बात तो होगी नहीं पर देखने जाया करो
वर्ना अपनी क़ब्र में हम-यार दुखने लगते हैं

माफ़ बेशक मत करो लेकिन ये चुप्पी तोड़ दो
ज़ोर थामे बाजू-ए-दीवार दुखने लगते हैं

  - SHIV SAFAR

Lab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SHIV SAFAR

As you were reading Shayari by SHIV SAFAR

Similar Writers

our suggestion based on SHIV SAFAR

Similar Moods

As you were reading Lab Shayari Shayari