ye duniya baatone ka gham kahaan samjhti hai | ये दुनिया बाटने का ग़म कहाँ समझती है

  - SHIV SAFAR

ye duniya baatone ka gham kahaan samjhti hai
jo haath bhar hai bachi vo dukaaan samjhti hai

main padh raha tha ya roya hoon raat bhar jag ke
ye aankhen laal hui kaise maa samjhti hai

watan ya desh kaho ya ki mulk bhi isko
zameen ye maa ki tarah har zabaan samjhti hai

dubo ke yaadon mein aansu nikaal leti hai
ye raat aankhon ko meri kuaan samjhti hai

chali gai yun dhaa ke mere sabhi armaan
vo mere dil ko bhi khandar makaan samjhti hai

mere bulaate hi sajde mein baith jaati hai
use pukaarta hoon to azaan samjhti hai

ये दुनिया बाटने का ग़म कहाँ समझती है
जो हाथ भर है बची वो दुकाँ समझती है

मैं पढ़ रहा था या रोया हूँ रात भर जग के
ये आँखें लाल हुईं कैसे माँ समझती है

वतन या देश कहो या कि मुल्क़ भी इसको
ज़मीं ये माँ की तरह हर ज़बाँ समझती है

डुबो के यादों में आँसू निकाल लेती है
ये रात आँखों को मेरी कुआँ समझती है

चली गई यूँ ढहा के मेरे सभी अरमाँ
वो मेरे दिल को भी खंडर मकाँ समझती है

मेरे बुलाते ही सजदे में बैठ जाती है
उसे पुकारता हूं तो अज़ाँ समझती है

  - SHIV SAFAR

Emotional Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SHIV SAFAR

As you were reading Shayari by SHIV SAFAR

Similar Writers

our suggestion based on SHIV SAFAR

Similar Moods

As you were reading Emotional Shayari Shayari