jab rozi roti kapda aur makaan gaya
kya ishq ki fitrat hoti hai main jaan gaya
main satya ahinsa ke raaste par nikla tha
pehle to aankhen phir zabaan phir kaan gaya
baaki qabron ki mujhse shikaayat jaayez thi
marne ke baad bhi der se kyoon shamshaan gaya
us jhumke waali ka jab maine naam suna
khud graahak kaise bikte hain ye jaan gaya
bas bees rupaye thi qeemat uske jhumke ki
bikte hain aashiq saste mein main maan gaya
जब रोजी रोटी कपड़ा और मकान गया
क्या इश्क़ की फ़ितरत होती है मैं जान गया
मैं सत्य अहिंसा के रस्ते पर निकला था
पहले तो आँखें फिर ज़बान फिर कान गया
बाक़ी क़ब्रों की मुझसे शिक़ायत जाएज़ थी
मरने के बाद भी देर से क्यूॅं शमशान गया
उस झुमके वाली का जब मैंने नाम सुना
ख़ुद ग्राहक कैसे बिकते हैं ये जान गया
बस बीस रुपए थी क़ीमत उसके झुमके की
बिकते हैं आशिक़ सस्ते में मैं मान गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SHIV SAFAR
our suggestion based on SHIV SAFAR
As you were reading Love Shayari Shayari