kaanpate rote kati hai aur to kuch bhi nahin | काँपते रोते कटी है और तो कुछ भी नहीं - SHIV SAFAR

kaanpate rote kati hai aur to kuch bhi nahin
raat thi subh ab hui hai aur to kuch bhi nahin

rooh se tha ishq to phir kya shikaayat vo agar
gair bistar par mili hai aur to kuch bhi nahin

vaise koi gham nahin hai bin tere o jaan-e-jaan
zindagi gham lag rahi hai aur to kuch bhi nahin

kyun bahaau'n ashk main ab kaun sa vo mar gai
gair ki bas ho gai hai aur to kuch bhi nahin

kyun karoon gham kya hua aisa ki jo hona na tha
jaane waali ja chuki hai aur to kuch bhi nahin

काँपते रोते कटी है और तो कुछ भी नहीं
रात थी सुब्ह अब हुई है और तो कुछ भी नहीं

रूह से था इश्क़ तो फिर क्या शिकायत वो अगर
ग़ैर बिस्तर पर मिली है और तो कुछ भी नहीं

वैसे कोई ग़म नहीं है बिन तेरे ओ जान-ए-जाँ
ज़िंदगी ग़म लग रही है और तो कुछ भी नहीं

क्यूँ बहाऊँ अश्क मैं अब कौन सा वो मर गई
ग़ैर की बस हो गई है और तो कुछ भी नहीं

क्यूँ करूँ ग़म क्या हुआ ऐसा कि जो होना न था
जाने वाली जा चुकी है और तो कुछ भी नहीं

- SHIV SAFAR
0 Likes

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SHIV SAFAR

As you were reading Shayari by SHIV SAFAR

Similar Writers

our suggestion based on SHIV SAFAR

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari