yaad ka chehra | "याद का चेहरा"

  - komal selacoti

yaad ka chehra

ik roz kii ik shaam ko ik park mein meri taraf
rakh rakh ke maathe ko zameen pe dhoop vo aati rahi
aur saath mein uske koii to yaad ka chehra bhi tha
jo dhoop seene pe laga ke apne vo chehre kii yaad
ya yaad ka chehre ko meri samt ko laati rahi
vo yaad ka chehra dhaka tha raushni se sar-b-sar
so isliye meri nazar mein door se ojhal raha
par jab mere nazdeek vo aata raha to ye hua
meri nazar mein aur bhi ojhal hua phir aur hua
jaise ki mitti khaak mein khushboo hawa mein ya safed
akshar kisi kaaghaz pe aur phir dekhte hi dekhte
jab mujhse vo guzra to phir maaloom mujhko ye hua
vo dhoop tha jo jaake kal kii subah mein kho jaayega
aur main vo saaya hoon jo ja ke raat mein kho jaayega

"याद का चेहरा"

इक रोज़ की इक शाम को इक पार्क में मेरी तरफ़
रख रख के माथे को ज़मीं पे धूप वो आती रही
और साथ में उसके कोई तो याद का चेहरा भी था
जो धूप सीने पे लगा के अपने वो चेहरे की याद
या याद का चेहरे को मेरी सम्त को लाती रही
वो याद का चेहरा ढका था रौशनी से सर-ब-सर
सो इसलिए मेरी नज़र में दूर से ओझल रहा
पर जब मेरे नज़दीक वो आता रहा तो ये हुआ
मेरी नज़र में और भी ओझल हुआ फिर और हुआ
जैसे कि मिट्टी ख़ाक में ख़ुश्बू हवा में या सफ़ेद
अक्षर किसी काग़ज़ पे और फिर देखते ही देखते
जब मुझसे वो गुज़रा तो फिर मालूम मुझको ये हुआ
वो धूप था जो जाके कल की सुबह में खो जाएगा
और मैं वो साया हूँ जो जा के रात में खो जाएगा

  - komal selacoti

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by komal selacoti

As you were reading Shayari by komal selacoti

Similar Writers

our suggestion based on komal selacoti

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari