yaadon se apni mere jazbaat-e-dil jaga ke
soye hain chain se vo neenden meri uda ke
mehfil mein mera aana ho jaayega suaarat
ik baar dekh len vo nazarein agar utha ke
lab kholne kii mujhko mil jaaye gar ijaazat
apna banaaun tumko apni ghazal suna ke
do phool zau-fishaan hain jo gesuon mein unke
mujhko bula rahe hain khushboo luta luta ke
vaise to tumko tanhaa sab chhod kar gaye hain
ik baar dekh lena hamko bhi aazma ke
main sochta hoon unki taarif mein likhoon kya
andaaz hain gazab ke tevar bhi hain bala ke
talha ye rang yun hi aaye nahin ghazal mein
ham saath chal rahe hain bahti hui hawa ke
यादों से अपनी मेरे जज़बात-ए-दिल जगा के
सोए हैं चैन से वो नींदें मिरी उड़ा के
महफ़िल में मेरा आना हो जाएगा सुआरत
इक बार देख लें वो नज़रें अगर उठा के
लब खोलने की मुझको मिल जाए गर इजाज़त
अपना बनाऊँ तुमको अपनी ग़ज़ल सुना के
दो फूल ज़ौ-फ़िशाँ हैं जो गेसुओं में उनके
मुझको बुला रहे हैं ख़ुशबू लुटा लुटा के
वैसे तो तुमको तन्हा सब छोड़ कर गए हैं
इक बार देख लेना हमको भी आज़मा के
मैं सोचता हूँ उनकी तारीफ़ में लिखूँ क्या
अंदाज़ हैं ग़ज़ब के तेवर भी हैं बला के
तलहा ये रंग यूँ ही आए नहीं ग़ज़ल में
हम साथ चल रहे हैं बहती हुई हवा के
As you were reading Shayari by Talha Lakhnavi
our suggestion based on Talha Lakhnavi
As you were reading undefined Shayari