kisi ke darmiyaan to pyaar rahne do
abhi to aankh mein deewaar rahne do
jahaan pe khat nahi awaaz jaati hain
hamaare paas vo darbaar rahne do
khuda bhi ro padega dekh lena tum
khuda ke paas mein akhbaar rahne do
siyaasat mein na uljho umr chhoti hai
aman faila rahe sarkaar rahne do
mujhe tab dushmani bhi khel lagti hain
hamaare haath jab talwaar rahne do
किसी के दरमियाँ तो प्यार रहने दो
अभी तो आँख में दीवार रहने दो
जहाँ पे ख़त नही आवाज़ जाती हैं
हमारे पास वो दरबार रहने दो
ख़ुदा भी रो पड़ेगा देख लेना तुम
ख़ुदा के पास में अख़बार रहने दो
सियासत में न उलझो उम्र छोटी है
अमन फैला रहे सरकार रहने दो
मुझे तब दुश्मनी भी खेल लगती हैं
हमारे हाथ जब तलवार रहने दो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tiwari Jitendra
our suggestion based on Tiwari Jitendra
As you were reading Political Shayari Shayari