ai mulk tu jab chahe sar tan se juda kar de
badle mein faqat mujhko do gaz hi ada kar de
main qaid-e-qafas mein hoon fariyaad koii sun le
mujhko bhi to udna hai pinjare se rihaa kar de
main apni duaon mein kehta hoon yahi akshar
har marz se ai maula tu ham ko juda kar de
vo dost ke qaabil to hargiz bhi nahin lekin
ai dost tu apna sab kirdaar ada kar de
is mulk kii aazaadi har ek ka khun shaamil
kandhe se mila kandha azaad fazaa kar de
ऐ मुल्क तू जब चाहे सर तन से जुदा कर दे
बदले में फ़क़त मुझको दो गज़ ही अदा कर दे
मैं क़ैद-ए-क़फ़स में हूँ फ़रियाद कोई सुन ले
मुझको भी तो उड़ना है पिंजरे से रिहा कर दे
मैं अपनी दुआओं में कहता हूँ यही अक्सर
हर मर्ज़ से ऐ मौला तू हम को जुदा कर दे
वो दोस्त के क़ाबिल तो हरगिज़ भी नहीं लेकिन
ऐ दोस्त तू अपना सब किरदार अदा कर दे
इस मुल्क की आज़ादी हर एक का ख़ूँ शामिल
कंधे से मिला कंधा आज़ाद फ़ज़ा कर दे
As you were reading Shayari by Waseem Siddharthnagari
our suggestion based on Waseem Siddharthnagari
As you were reading undefined Shayari