hamko pehle jaisi ab to zindagi milti nahin
teergi se qibl hamko raushni milti nahin
aapki kya ahmiyat hai aapko maaloom hai
aapke bin ek pal kii bhi khushi milti nahin
hijr ke ayyaam mein karte hain jo marne kii baat
aise logon ko kabhi bhi aashiqi milti nahin
ham mohabbat karne waalon par sitam kuchh kam nahin
sacche dil se chaahne waali kabhi milti nahin
khudkushi se marne waale hain bade buzdil waseem
sach hai ye bhi buzdilon ko zindagi milti nahin
हमको पहले जैसी अब तो ज़िंदगी मिलती नहीं
तीरगी से क़ब्ल हमको रौशनी मिलती नहीं
आपकी क्या अहमियत है आपको मालूम है
आपके बिन एक पल की भी ख़ुशी मिलती नहीं
हिज्र के अय्याम में करते हैं जो मरने की बात
ऐसे लोगों को कभी भी आशिक़ी मिलती नहीं
हम मोहब्बत करने वालों पर सितम कुछ कम नहीं
सच्चे दिल से चाहने वाली कभी मिलती नहीं
ख़ुदकुशी से मरने वाले हैं बड़े बुज़दिल 'वसीम'
सच है ये भी बुज़दिलों को ज़िंदगी मिलती नहीं
As you were reading Shayari by Waseem Siddharthnagari
our suggestion based on Waseem Siddharthnagari
As you were reading undefined Shayari