jism loot kar kisi ka tab ye ishq paana hai | जिस्म लूट कर किसी का तब ये इश्क़ पाना है - Vikas Shah musafir

jism loot kar kisi ka tab ye ishq paana hai
kaisa daur chal raha ye kaun sa zamaana hai

loot gai ghazal ki aabroo miyaan ke sher se
mujh ko phir se kurta bahar ka naya silaana hai

ab ghazal se dil laga liya hai to laga liya
ab mujhe ghazal ke saath mein hi ghar basaana hai

kitne baar pakdi ja chuki ho uske saath tum
bolo koi aur jhooth hai jo ab bataana hai

kiske saath kya kiya hai kya nahin bata do ab
sach ugalwaa lenge mere paas taaziyaana hai

tum use anaadi kah rahe ho na-samajh ho tum
vo naye libaas mein hai aadmi puraana hai

chhod dena haath beech mein hamein qubool hai
par tumhaara dil hi ab hamaara aashiyana hai

main bhala nashe mein kyun na rehta itna hone par
dil mein teri yaad aur ghar sharaab-khaana hai

जिस्म लूट कर किसी का तब ये इश्क़ पाना है
कैसा दौर चल रहा ये कौन सा ज़माना है

लुट गई ग़ज़ल कि आबरू मियाँ के शेर से
मुझ को फिर से कुर्ता बहर का नया सिलाना है

अब ग़ज़ल से दिल लगा लिया है तो लगा लिया
अब मुझे ग़ज़ल के साथ में ही घर बसाना है

कितने बार पकड़ी जा चुकी हो उसके साथ तुम
बोलो कोई और झूठ है जो अब बताना है

किसके साथ क्या किया है क्या नहीं बता दो अब
सच उगलवा लेंगे मेरे पास ताज़ियाना है

तुम उसे अनाड़ी कह रहे हो ना-समझ हो तुम
वो नए लिबास में है आदमी पुराना है

छोड़ देना हाथ बीच में हमें क़ुबूल है
पर तुम्हारा दिल ही अब हमारा आशियाना है

मैं भला नशे में क्यों न रहता इतना होने पर
दिल में तेरी याद और घर शराब-ख़ाना है

- Vikas Shah musafir
0 Likes

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vikas Shah musafir

As you were reading Shayari by Vikas Shah musafir

Similar Writers

our suggestion based on Vikas Shah musafir

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari