kya ab bhi zinda hoon main
jab haathon se mere saagar chhoota
pal bhar mein koi sapna toota
main bikhra hoon wahin aakar
jahaan se tha ye ankoor foota
meri manzil ki koi raah nahin
ab doosri koi chaah nahin
khwaab aankhon ke peele ho gaye
ret ke banjar teele ho gaye
itne zahar bhare hain mujhmein
zakhm sabhi neele ho gaye
kya ab bhi jinda hoon main
क्या अब भी ज़िंदा हूँ मैं?
जब हाथों से मेरे सागर छूटा
पल भर में कोई सपना टूटा
मैं बिखरा हूँ वहीं आकर,
जहाँ से था ये अंकूर फूटा
मेरी मंज़िल की कोई राह नहीं
अब दूसरी कोई चाह नहीं
ख़्वाब आँखों के पीले हो गये
रेत के बंजर टीले हो गये
इतने ज़हर भरे हैं मुझमें
ज़ख्म सभी नीले हो गये
क्या अब भी जिंदा हूँ मैं?
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vikas Sangam
our suggestion based on Vikas Sangam
As you were reading Ghayal Shayari Shayari