museebat mein bhi meri ye samajhdari nahin jaati | मुसीबत में भी मेरी ये समझदारी नहीं जाती

  - YAWAR ALI

museebat mein bhi meri ye samajhdari nahin jaati
khafa kitna bhi houun narm-guftari nahin jaati

koii apna ghalat ho gar to lahja narm rehta hai
ghalat to hai magar mujh se ye beemaari nahin jaati

badi maghroor aadat hai ghamon mein muskuraane kii
meri nas nas mein bahti ye adaakaari nahin jaati

koii ummeed jab bachti nahin jhukna hi padta hai
kisi se yun hi koii saltanat haari nahin jaati

jahaan bhi faayda dekhen jhuka dete hain sar apne
ye aadat aaj bhi logon kii darbaari nahin jaati

hasad kii aag mein sab jal rahe hain ek dooje se
na jaane kyun dilon se ye mahamaari nahin jaati

luta hoon baarha main ishq ke jin rahguzaron par
unhin raahon se meri aaj bhi yaari nahin jaati

मुसीबत में भी मेरी ये समझदारी नहीं जाती
ख़फ़ा कितना भी होऊँ नर्म-गुफ़्तारी नहीं जाती

कोई अपना ग़लत हो गर तो लहजा नर्म रहता है
ग़लत तो है मगर मुझ से ये बीमारी नहीं जाती

बड़ी मग़रूर आदत है ग़मों में मुस्कुराने की
मेरी नस नस में बहती ये अदाकारी नहीं जाती

कोई उम्मीद जब बचती नहीं झुकना ही पड़ता है
किसी से यूँ ही कोई सल्तनत हारी नहीं जाती

जहाँ भी फ़ायदा देखें झुका देते हैं सर अपने
ये आदत आज भी लोगों की दरबारी नहीं जाती

हसद की आग में सब जल रहे हैं एक दूजे से
न जाने क्यूँ दिलों से ये महामारी नहीं जाती

लुटा हूँ बारहा मैं इश्क़ के जिन रहगुज़ारों पर
उन्हीं राहों से मेरी आज भी यारी नहीं जाती

  - YAWAR ALI

More by YAWAR ALI

As you were reading Shayari by YAWAR ALI

Similar Writers

our suggestion based on YAWAR ALI

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari