bebason ka jo madad-gaar nahin ho saktaa | बेबसों का जो मदद-गार नहीं हो सकता

  - YAWAR ALI

bebason ka jo madad-gaar nahin ho saktaa
vo kisi qaum ka sardaar nahin ho saktaa

ai bashar tu kisi insaan kii qismat padh le
tu kabhi itna samajhdaar nahin ho saktaa

ham hain dariya ke kinaaron se yun hi tadpenge
apna milna mere dildaar nahin ho saktaa

ye bhi mumkin hai mere yaar ghalat ho tu hi
har dafa main hi khata-waar nahin ho saktaa

saltanat hogi teri sab se kushaada lekin
ai adoo tu mera mukhtar nahin ho saktaa

main ne maana ki muhabbat hai bahut kuchh lekin
pyaar har cheez mere yaar nahin ho saktaa

is ko padhna hai to is ka tujhe hona hoga
dil kisi pres ka akhbaar nahin ho saktaa

बेबसों का जो मदद-गार नहीं हो सकता
वो किसी क़ौम का सरदार नहीं हो सकता

ऐ बशर तू किसी इंसान की क़िस्मत पढ़ ले
तू कभी इतना समझदार नहीं हो सकता

हम हैं दरिया के किनारों से यूँ ही तड़पेंगे
अपना मिलना मेरे दिलदार नहीं हो सकता

ये भी मुमकिन है मेरे यार ग़लत हो तू ही
हर दफ़ा मैं ही ख़ता-वार नहीं हो सकता

सल्तनत होगी तेरी सब से कुशादा लेकिन
ऐ अदू तू मेरा मुख़्तार नहीं हो सकता

मैं ने माना कि मुहब्बत है बहुत कुछ लेकिन
प्यार हर चीज़ मेरे यार नहीं हो सकता

इस को पढ़ना है तो इस का तुझे होना होगा
दिल किसी प्रेस का अख़बार नहीं हो सकता

  - YAWAR ALI

More by YAWAR ALI

As you were reading Shayari by YAWAR ALI

Similar Writers

our suggestion based on YAWAR ALI

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari