aarzi hai khushi aur gham sarpar
zindagi ka raha ye sitam sarpar
chaah to us ko bhi khoob hogi meri
ek arse se hai ye bharam sarpar
dil mein ik khaamoshi cheekhti hai sada
be-sabab kaatti hai udham sarpar
tab bhi the gham magar the nahin is qadar
ab to rahti hai ye chashm-e-nam sarpar
dikhkatein har qadam theen mere saamne
par badhaata gaya main qadam sarpar
shukriya rab tera ye qalam di mujhe
sach likhe bin dare ye qalam sarpar
aazmaish to ab sarpar sah loon main
baad is ke agar ho karam sarpar
us ko sachcha na tum maan lena kabhi
kha raha ho agar vo qasam sarpar
khatm kaise karoon teri yaadon ko main
le rahi hain jo mujh mein janam sarpar
kya khabar ho use bhook kya hoti hai
haal jis ka raha pur-shikam sarpar
ik saba subah mein zehan karti hai vaa
jaan jaaga karo subh-dam sarpar
आरज़ी है ख़ुशी और ग़म मुस्तक़िल
ज़िंदगी का रहा ये सितम मुस्तक़िल
चाह तो उस को भी ख़ूब होगी मेरी
एक अरसे से है ये भरम मुस्तक़िल
दिल में इक ख़ामुशी चीख़ती है सदा
बे-सबब काटती है उधम मुस्तक़िल
तब भी थे ग़म मगर थे नहीं इस क़दर
अब तो रहती है ये चश्म-ए-नम मुस्तक़िल
दिक्कतें हर क़दम थीं मेरे सामने
पर बढ़ाता गया मैं क़दम मुस्तक़िल
शुक्रिया रब तेरा ये क़लम दी मुझे
सच लिखे बिन डरे ये क़लम मुस्तक़िल
आज़माइश तो अब मुस्तक़िल सह लूँ मैं
बाद इस के अगर हो करम मुस्तक़िल
उस को सच्चा न तुम मान लेना कभी
खा रहा हो अगर वो क़सम मुस्तक़िल
ख़त्म कैसे करूँ तेरी यादों को मैं
ले रही हैं जो मुझ में जनम मुस्तक़िल
क्या ख़बर हो उसे भूक क्या होती है
हाल जिस का रहा पुर-शिकम मुस्तक़िल
इक सबा सुब्ह में ज़ेहन करती है वा
'ज़ान' जागा करो सुब्ह-दम मुस्तक़िल
As you were reading Shayari by Zaan Farzaan
our suggestion based on Zaan Farzaan
As you were reading undefined Shayari