main kya hoon kisi gham se aziz hi nahin hota | मैं क्या हूँ किसी ग़म से आजिज़ ही नहीं होता

  - Zaan Farzaan

main kya hoon kisi gham se aziz hi nahin hota
so saath masarrat ke hargiz hi nahin hota

tujh ko hai raaeson se par itni adavat kyun
har ek raeis aakhir qaabiz hi nahin hota

masjid jo dikhi khaali logon se sabab poocha
kahte ki mohalle mein hafiz hi nahin hota

vo log bhi manzil ko chhoo paate nahin akshar
raste mein kabhi jin ke haajiz hi nahin hota

go laakh dafa khud ko tha hukm diya main ne
par hukm kabhi mera naafiz hi nahin hota

मैं क्या हूँ किसी ग़म से आजिज़ ही नहीं होता
सो साथ मसर्रत के हरगिज़ ही नहीं होता

तुझ को है रईसों से पर इतनी अदावत क्यूँ
हर एक रईस आख़िर क़ाबिज़ ही नहीं होता

मस्जिद जो दिखी ख़ाली लोगों से सबब पूछा
कहते कि मुहल्ले में हाफ़िज़ ही नहीं होता

वो लोग भी मंज़िल को छू पाते नहीं अक्सर
रस्ते में कभी जिन के हाजिज़ ही नहीं होता

गो लाख दफ़ा ख़ुद को था हुक्म दिया मैं ने
पर हुक्म कभी मेरा नाफ़िज़ ही नहीं होता

  - Zaan Farzaan

More by Zaan Farzaan

As you were reading Shayari by Zaan Farzaan

Similar Writers

our suggestion based on Zaan Farzaan

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari