humeen hain rifaqat mein jaan dete hain
wagarana sabhi bas gumaan dete hain
kabhi baat ham bas pate kii karein
kabhi ulte seedhe bayaan dete hain
kabhi chhote logon mein baitha nahin
bade khwaab ijaazat kahaan dete hain
pare aasmaan ke hai koii jise
yun aawaaz dono jahaan dete hain
kami baagbaani mein thi so chalo
chaman ko naya baaghbaan dete hain
hidaayat mile jaane kab hi tumhein
mu'azzin to ab bhi azaan dete hain
kiraye pe rahte the khud jo kabhi
kiraye pe ab vo makaan dete hain
mukarte nahin ham kisi haal par
agar ham kisi ko zabaan dete hain
khuda jaanta hai ki saabir hain ham
so haan roz-o-shab imtihaan dete hain
teri tafseer ke dhoke sada
bahut so ko dard-e-nihaan dete hain
bhale mausamon mein bhi kaisa sukoon
sabhi kuchh vo kar raayegaan dete hain
karoon khoobiyon ka agar zikr main
gina vo meri khaamiyaan dete hain
हमीं हैं रिफ़ाक़त में जाँ देते हैं
वगरना सभी बस गुमाँ देते हैं
कभी बात हम बस पते की करें
कभी उल्टे सीधे बयाँ देते हैं
कभी छोटे लोगों में बैठा नहीं
बड़े ख़्वाब इजाज़त कहाँ देते हैं
परे आसमाँ के है कोई जिसे
यूँ आवाज़ दोनों जहाँ देते हैं
कमी बाग़बानी में थी सो चलो
चमन को नया बाग़बाँ देते हैं
हिदायत मिले जाने कब ही तुम्हें
मुअज़्ज़िन तो अब भी अज़ाँ देते हैं
किराए पे रहते थे ख़ुद जो कभी
किराए पे अब वो मकाँ देते हैं
मुकरते नहीं हम किसी हाल पर
अगर हम किसी को ज़बाँ देते हैं
ख़ुदा जानता है कि साबिर हैं हम
सो हाँ रोज़-ओ-शब इम्तिहाँ देते हैं
तेरी चश्म-ए-गिरया के धोके सदा
बहुत सो को दर्द-ए-निहाँ देते हैं
भले मौसमों में भी कैसा सुकूँ
सभी कुछ वो कर राएगाँ देते हैं
करूँ ख़ूबियों का अगर ज़िक्र मैं
गिना वो मेरी ख़ामियाँ देते हैं
As you were reading Shayari by Zaan Farzaan
our suggestion based on Zaan Farzaan
As you were reading undefined Shayari