ai dariya tu shaamil kar le apne logon mein | ऐ दरिया तू शामिल कर ले अपने लोगों में

  - Zaan Farzaan

ai dariya tu shaamil kar le apne logon mein
warna main bhi rah jaaunga pyaase logon mein

dil kii aink se ye dekhen saari duniya ko
shaayad ye khaami hoti hai achhe logon mein

phat se achhe bante hain ye matlab kii khaatir
shaayad ye khoobi hoti hai gande logon mein

daulat kaamil hai par kapde chhote hain tan par
kitni sasti ghairat hai in mehnge logon mein

kaam aao mat in ke phir dekho kya hota hai
kadvaapan ghul jaayega in meethe logon mein

in ke lehje se lagti hain baatein sach in kii
ye fitrat hoti hai akshar jhoote logon mein

har mazhab ke tyoharon mein ghul mil jaate the
kitni achhi aadat thi ye tab ke logon mein

yun to is duniya mein honge log arbon-kharbon
par dekho naa tum bhaaye ho itne logon mein

meri ghibat kar ke chahein mujh se hi shafqat
kaise aaye itni himmat aise logon mein

ऐ दरिया तू शामिल कर ले अपने लोगों में
वर्ना मैं भी रह जाऊँगा प्यासे लोगों में

दिल की ऐनक से ये देखें सारी दुनिया को
शायद ये ख़ामी होती है अच्छे लोगों में

फट से अच्छे बनते हैं ये मतलब की ख़ातिर
शायद ये ख़ूबी होती है गंदे लोगों में

दौलत कामिल है पर कपड़े छोटे हैं तन पर
कितनी सस्ती ग़ैरत है इन महँगे लोगों में

काम आओ मत इन के फिर देखो क्या होता है
कड़वापन घुल जाएगा इन मीठे लोगों में

इन के लहजे से लगती हैं बातें सच इन की
ये फ़ितरत होती है अक्सर झूटे लोगों में

हर मज़हब के त्योहारों में घुल मिल जाते थे
कितनी अच्छी आदत थी ये तब के लोगों में

यूँ तो इस दुनिया में होंगे लोग अरबों-खरबों
पर देखो ना तुम भाए हो इतने लोगों में

मेरी ग़ीबत कर के चाहें मुझ से ही शफ़क़त
कैसे आए इतनी हिम्मत ऐसे लोगों में

  - Zaan Farzaan

More by Zaan Farzaan

As you were reading Shayari by Zaan Farzaan

Similar Writers

our suggestion based on Zaan Farzaan

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari