jab se vo mere apne ghairon mein bat gaye
ummeed ke to jaise baadal hi chhat gaye
gham yun to baantne se ab tak badhe hi the
par sang tere baante to ye bhi ghat gaye
mushkil tha kaam vaise yun bhoolna use
is kaam se magar ham kab ke nipt gaye
imdaad mein tiri to haazir bahut the naa
to kya hua agar ham peechhe bhi hat gaye
kitne ajeeb the vo apne taalluqaat
khud failte gaye phir khud hi simat gaye
aaye to the bahut se yun raaste mein saath
manzil thi door to phir sab hi palat gaye
yun us ne muskuraa kar jab alvida kaha
us se baghair soche ham to lipt gaye
din raat maangte the jis ko khuda se ham
us ke baghair hi phir din raat kat gaye
the muddaton se bhooke vo jaanwar sabhi
so zehar bhi parosa to sab jhapat gaye
rakh kar yaqeen khuda par kuchh yun hua ki ham
peechhe nahin hate jo ik baar dat gaye
जब से वो मेरे अपने ग़ैरों में बट गए
उम्मीद के तो जैसे बादल ही छट गए
ग़म यूँ तो बाँटने से अब तक बढ़े ही थे
पर संग तेरे बाँटे तो ये भी घट गए
मुश्किल था काम वैसे यूँ भूलना उसे
इस काम से मगर हम कब के निपट गए
इमदाद में तिरी तो हाजिर बहुत थे ना
तो क्या हुआ अगर हम पीछे भी हट गए
कितने अजीब थे वो अपने तअल्लुक़ात
ख़ुद फैलते गए फिर ख़ुद ही सिमट गए
आए तो थे बहुत से यूँ रास्ते में साथ
मंज़िल थी दूर तो फिर सब ही पलट गए
यूँ उस ने मुस्कुरा कर जब अलविदा कहा
उस से बग़ैर सोचे हम तो लिपट गए
दिन रात माँगते थे जिस को ख़ुदा से हम
उस के बग़ैर ही फिर दिन रात कट गए
थे मुद्दतों से भूके वो जानवर सभी
सो ज़हर भी परोसा तो सब झपट गए
रख कर यक़ीं ख़ुदा पर कुछ यूँ हुआ कि हम
पीछे नहीं हटे जो इक बार डट गए
As you were reading Shayari by Zaan Farzaan
our suggestion based on Zaan Farzaan
As you were reading undefined Shayari