ba-zaahir hai ki ab is baar udaasi der tak jaaye
magar is baar dar bhi hai ki meri jaan na thak jaaye
zameen waale zameen waalon ke chakkar mein pada hai kyun
kahin tere na haathon se nikal tera falak jaaye
nazar itna na aao tum ki phir tum ko hi dekhen sab
na jaane kaun kab kis kii nigaahon mein khatk jaaye
bahut seedha hai yun to raasta rab tak pahunchne ka
magar vo hai taveel itna ki mujh jaisa bhatak jaaye
andhere se ghire is dil ko bas teri hi haajat hai
teri taabindagi-e-husn se har shay chamak jaaye
meri qismat kii hai naarazgi bhi is qadar mujh se
main jitna paas aa jaaun ye utni hi khisak jaaye
main kyun thak haar kar baithoon ki behtar hai wahan chal doon
jahaan lekar mujhe meri umeedon kii sadak jaaye
tum aa jaao milo mujh se magar itna suno dekho
bahut mumkin hai aag is jism kii yak-dam bhadak jaaye
haseen ho kar bhi us ne sirf mujh se hi mohabbat kii
bhala us kii wafaon par mera kaise na shak jaaye
vo ik baccha jo akshar hi bada hone se kataraaye
kaho us se saleeb-e-waqt par aa kar latk jaaye
tu itni khoob-soorat hai ki tujh ko rind gar dekhe
to phir bas is qadar dekhe ki jaam us ka chhalk jaaye
main doojoon ke ghamon mein khoob ro loon par ghaneemat hai
kabhi khud ke liye mera ik aansu bhi tapak jaaye
mere sabr-o-tahammul zakhm bhi saare mita denge
khayaal ik ye namak har zakhm par aa kar chhidk jaaye
agar karne mujhe aati to main kab ka na kar leta
shuroo kar guftugoo tu hi ki meri ye jhijhak jaaye
zaroorat to mujhe hogi daleelon kii gawaahon. kii
tiri poshaak-e-girya to tire har aib dhak jaaye
vo sab se aashna bhi hai to is mein kya naya hai jaan
vo hai barsaat kii khushboo jo har ik soo mahak jaaye
ब-ज़ाहिर है कि अब इस बार उदासी देर तक जाए
मगर इस बार डर भी है कि मेरी जाँ न थक जाए
ज़मीं वाले ज़मीं वालों के चक्कर में पड़ा है क्यूँ
कहीं तेरे न हाथों से निकल तेरा फ़लक जाए
नज़र इतना न आओ तुम कि फिर तुम को ही देखें सब
न जाने कौन कब किस की निगाहों में खटक जाए
बहुत सीधा है यूँ तो रास्ता रब तक पहुँचने का
मगर वो है तवील इतना कि मुझ जैसा भटक जाए
अँधेरे से घिरे इस दिल को बस तेरी ही हाजत है
तेरी ताबिंदगी-ए-हुस्न से हर शय चमक जाए
मिरी क़िस्मत की है नाराज़गी भी इस क़दर मुझ से
मैं जितना पास आ जाऊँ ये उतनी ही खिसक जाए
मैं क्यूँ थक हार कर बैठूँ कि बेहतर है वहाँ चल दूँ
जहाँ लेकर मुझे मेरी उमीदों की सड़क जाए
तुम आ जाओ मिलो मुझ से मगर इतना सुनो देखो
बहुत मुमकिन है आग इस जिस्म की यक-दम भड़क जाए
हसीं हो कर भी उस ने सिर्फ़ मुझ से ही मोहब्बत की
भला उस की वफ़ाओं पर मिरा कैसे न शक जाए
वो इक बच्चा जो अक्सर ही बड़ा होने से कतराए
कहो उस से सलीब-ए-वक़्त पर आ कर लटक जाए
तू इतनी ख़ूब-सूरत है कि तुझ को रिंद गर देखे
तो फिर बस इस क़दर देखे कि जाम उस का छलक जाए
मैं दूजों के ग़मों में ख़ूब रो लूँ पर ग़नीमत है
कभी ख़ुद के लिए मेरा इक आँसू भी टपक जाए
मिरे सब्र-ओ-तहम्मुल ज़ख़्म भी सारे मिटा देंगे
ख़याल इक ये नमक हर ज़ख़्म पर आ कर छिड़क जाए
अगर करनी मुझे आती तो मैं कब का न कर लेता
शुरू कर गुफ़्तुगू तू ही कि मेरी ये झिझक जाए
ज़रूरत तो मुझे होगी दलीलों की गवाहों की
तिरी पोशाक-ए-गिर्या तो तिरे हर ऐब ढक जाए
वो सब से आश्ना भी है तो इस में क्या नया है 'ज़ान'
वो है बरसात की ख़ुशबू जो हर इक सू महक जाए
As you were reading Shayari by Zaan Farzaan
our suggestion based on Zaan Farzaan
As you were reading undefined Shayari