kabhi bhi aisa to hona na tha mujh ko | कभी भी ऐसा तो होना न था मुझ को

  - Zaan Farzaan

kabhi bhi aisa to hona na tha mujh ko
jo ab tere na hone ne kiya mujh ko

kabhi vo zakhm dikhta hai bhara mujh ko
kabhi vo zakhm lagta hai haraa mujh ko

na mujh se hi kabhi utri qaba gham kii
na milti hai kabhi sukh kii qaba mujh ko


main koii ibn-e-seena to nahin hoon par

pata hai zindagi ka falsafa mujh ko
main aziz aata bhi kyun aise jeene se

jo aaye roz marne mein maza mujh ko
jab us se main ne poochi hasratein us kii

raha vo hasraton se dekhta mujh ko
suna hai faaslon se ishq badhta hai

so haan manzoor hai ye faasla mujh ko
vo jo ek phool murjhaya tha in haathon

mahak aati hai us kii jaa-b-jaa mujh ko
mujhe us rah-guzar par chhodne waale

dikha kar khush nahin the raasta mujh ko
dikhaaya hai use us jaisa hi bankar

bana le kya pata vo aashna mujh ko

कभी भी ऐसा तो होना न था मुझ को
जो अब तेरे न होने ने किया मुझ को

कभी वो ज़ख़्म दिखता है भरा मुझ को
कभी वो ज़ख़्म लगता है हरा मुझ को

न मुझ से ही कभी उतरी क़बा ग़म की
न मिलती है कभी सुख की क़बा मुझ को


मैं कोई इब्न-ए-सीना तो नहीं हूँ पर

पता है ज़िन्दगी का फ़लसफ़ा मुझ को
मैं आजिज़ आता भी क्यूँ ऐसे जीने से

जो आए रोज़ मरने में मज़ा मुझ को
जब उस से मैं ने पूछी हसरतें उस की

रहा वो हसरतों से देखता मुझ को
सुना है फ़ासलों से इश्क़ बढ़ता है

सो हाँ मंज़ूर है ये फासला मुझ को
वो जो एक फूल मुरझाया था इन हाथों

महक आती है उस की जा-ब-जा मुझ को
मुझे उस रह-गुज़र पर छोड़ने वाले

दिखा कर ख़ुश नहीं थे रास्ता मुझ को
दिखाया है उसे उस जैसा ही बनकर

बना ले क्या पता वो आश्ना मुझ को

  - Zaan Farzaan

More by Zaan Farzaan

As you were reading Shayari by Zaan Farzaan

Similar Writers

our suggestion based on Zaan Farzaan

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari