in bimaaron se kabhi tum us tarah se haal poocho | इन बिमारों से कभी तुम उस तरह से हाल पूछो

  - Zain Aalamgir

in bimaaron se kabhi tum us tarah se haal poocho
kyun na pooche shakhs kissse baat uska haal poocho

kis sadi mein ho kahi bhi khush-gawaari na use to
bheeg ashkon mein kai din or kitne saal poocho

khud-numaai kar raha hai shakhs ab vo kulfaton ki
vo nuqushe-zulm uspar zaar taari jaal poocho

ashk utre jo mere dil ke magar us tarz se ke
jism apnon ka magar anjaan thi vo khaal poocho

dushmanon se maat khaai na kabhi usne magar haan
de gaye apne shikaste-ishq kya khush-haal poocho

shakhs ko ummeed dikhlai na kyun pehle kisi ne
maut awwal rooh dekhe jism fir behaal poocho

इन बिमारों से कभी तुम उस तरह से हाल पूछो
क्यूँ न पूछे शख़्स किससे बात, उसका हाल पूछो

किस सदी में हो, कहीं भी ख़ुश-गवारी ना उसे तो
भीग अश्कों में कई दिन ओर कितने साल पूछो

ख़ुद-नुमाई कर रहा है शख़्स अब वो कुल्फ़तों की
वो नुक़ूशे-ज़ुल्म उसपर ज़ार तारी जाल पूछो

अश्क उतरे जो मिरे दिल के मगर उस तर्ज़ से के
जिस्म अपनों का मगर अनजान थी वो ख़ाल पूछो

दुश्मनों से मात खाई ना कभी उसने मगर हाँ
दे गए अपने शिकस्ते-इश्क़, क्या ख़ुश-हाल पूछो

शख़्स को उम्मीद दिखलाई न क्यों पहले किसी ने
मौत अव्वल रूह देखे, जिस्म फ़िर बेहाल पूछो

  - Zain Aalamgir

Maut Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Zain Aalamgir

As you were reading Shayari by Zain Aalamgir

Similar Writers

our suggestion based on Zain Aalamgir

Similar Moods

As you were reading Maut Shayari Shayari