chaand taare bana ke kaaghaz par
khush hue ghar saja ke kaaghaz par
bastiyaan kyun talash karte hain
log jungle ugaa ke kaaghaz par
jaane kya ham se kah gaya mausam
khushk patta gira ke kaaghaz par
hanste hanste mita diye us ne
shehar kitne basa ke kaaghaz par
ham ne chaaha ki ham bhi ud jaayen
ek chidiya uda ke kaaghaz par
log saahil talash karte hain
ek dariya baha ke kaaghaz par
naav suraj ki dhoop ka dariya
tham gaye kaise aa ke kaaghaz par
khwaab bhi khwaab ho gaye aadil
shakl-o-soorat dikha ke kaaghaz par
चाँद तारे बना के काग़ज़ पर
ख़ुश हुए घर सजा के काग़ज़ पर
बस्तियाँ क्यूँ तलाश करते हैं
लोग जंगल उगा के काग़ज़ पर
जाने क्या हम से कह गया मौसम
ख़ुश्क पत्ता गिरा के काग़ज़ पर
हँसते हँसते मिटा दिए उस ने
शहर कितने बसा के काग़ज़ पर
हम ने चाहा कि हम भी उड़ जाएँ
एक चिड़िया उड़ा के काग़ज़ पर
लोग साहिल तलाश करते हैं
एक दरिया बहा के काग़ज़ पर
नाव सूरज की धूप का दरिया
थम गए कैसे आ के काग़ज़ पर
ख़्वाब भी ख़्वाब हो गए 'आदिल'
शक्ल-ओ-सूरत दिखा के काग़ज़ पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aadil Raza Mansoori
our suggestion based on Aadil Raza Mansoori
As you were reading Gaon Shayari Shayari