jo ashk ban ke hamaari palak pe baitha tha
tumhein bhi yaad hai ab tak vo khwaab kis ka tha
hamesha poochhti rahti hai raaston ki hawa
yoonhi ruke ho yahan ya kisi ne roka tha
laga hua hai abhi tak ye jaan ko khatka
ki us ne jaate hue kyun palat ke dekha tha
khabar kise hai kise poochiye bataaye kaun
purane qasr mein kya subh-o-shaam jalta tha
vujood hai ye kahi bah na jaaye lehron mein
gira gira ke palak aabjoo ko roka tha
fazaayein aisi to aadil kabhi na mahki theen
hawa ke haath pe ye kis ka naam likkha tha
जो अश्क बन के हमारी पलक पे बैठा था
तुम्हें भी याद है अब तक वो ख़्वाब किस का था
हमेशा पूछती रहती है रास्तों की हवा
यूँही रुके हो यहाँ या किसी ने रोका था
लगा हुआ है अभी तक ये जान को खटका
कि उस ने जाते हुए क्यूँ पलट के देखा था
ख़बर किसे है किसे पूछिए बताए कौन
पुराने क़स्र में क्या सुब्ह-ओ-शाम जलता था
वजूद है ये कहीं बह न जाए लहरों में
गिरा गिरा के पलक आबजू को रोका था
फ़ज़ाएँ ऐसी तो 'आदिल' कभी न महकी थीं
हवा के हाथ पे ये किस का नाम लिक्खा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aadil Raza Mansoori
our suggestion based on Aadil Raza Mansoori
As you were reading Nature Shayari Shayari