ek ik lamhe ko palkon pe sajaata hua ghar | एक इक लम्हे को पलकों पे सजाता हुआ घर - Aadil Raza Mansoori

ek ik lamhe ko palkon pe sajaata hua ghar
raas aata hai kise hijr manaata hua ghar

khwaab ke khadishe se ab neend udri jaati hai
main ne dekha hai use chhod ke jaata hua ghar

gar zabaan hoti to patthar hi bataata sab ko
kis qadar toota hai vo khud ko banata hua ghar

us ka ab zikr na kar chhod ke jaane waale
tu ne dekha hi kahaan ashk bahaata hua ghar

ab use yaad kahoon yaas kahoon ya vehshat
mujh ko aata hai nazar khaak udaata hua ghar

thak gaya kya mere toolani safar se aadil
so gaya saath mere mujh ko sulaata hua ghar

एक इक लम्हे को पलकों पे सजाता हुआ घर
रास आता है किसे हिज्र मनाता हुआ घर

ख़्वाब के ख़दशे से अब नींद उड़ी जाती है
मैं ने देखा है उसे छोड़ के जाता हुआ घर

गर ज़बाँ होती तो पत्थर ही बताता सब को
किस क़दर टूटा है वो ख़ुद को बनाता हुआ घर

उस का अब ज़िक्र न कर छोड़ के जाने वाले
तू ने देखा ही कहाँ अश्क बहाता हुआ घर

अब उसे याद कहूँ यास कहूँ या वहशत
मुझ को आता है नज़र ख़ाक उड़ाता हुआ घर

थक गया क्या मिरे तूलानी सफ़र से 'आदिल'
सो गया साथ मिरे मुझ को सुलाता हुआ घर

- Aadil Raza Mansoori
2 Likes

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aadil Raza Mansoori

As you were reading Shayari by Aadil Raza Mansoori

Similar Writers

our suggestion based on Aadil Raza Mansoori

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari