din ke seene pe shaam ka patthar
ek patthar pe doosra patthar
ye suna tha ki devta hai vo
mere haq hi mein kyun hua pathar
daayere bante aur mitte the
jheel mein jab kabhi gira patthar
ab to aabaad hai wahan basti
ab kahaan tere naam ka patthar
ho gaye manzilon ke sab raahi
de raha hai kise sada patthar
saare taare zameen pe gir jaate
zor se main jo fenkta patthar
naam ne kaam kar dikhaaya hai
sab ne dekha hai tairta patthar
tu use kya uthaaega aadil
meer tak se na uth saka patthar
दिन के सीने पे शाम का पत्थर
एक पत्थर पे दूसरा पत्थर
ये सुना था कि देवता है वो
मेरे हक़ ही में क्यूँ हुआ पथर
दाएरे बनते और मिटते थे
झील में जब कभी गिरा पत्थर
अब तो आबाद है वहाँ बस्ती
अब कहाँ तेरे नाम का पत्थर
हो गए मंज़िलों के सब राही
दे रहा है किसे सदा पत्थर
सारे तारे ज़मीं पे गिर जाते
ज़ोर से मैं जो फेंकता पत्थर
नाम ने काम कर दिखाया है
सब ने देखा है तैरता पत्थर
तू उसे क्या उठाएगा 'आदिल'
'मीर' तक से न उठ सका पत्थर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aadil Raza Mansoori
our suggestion based on Aadil Raza Mansoori
As you were reading Travel Shayari Shayari