saare din ki thaki
veeraan aur be-masrif raat ko
ek ajeeb mashghala haath aa gaya hai
ab vo
saare shehar ki aawaara parchaaiyon ko
jism dene ki koshish mein masroof hai
mujhe maaloom hai
agar gum-naam parchaaiyon ko
un ki pehchaan mil gai
to shehar ke muazzaz aur ibadat-guzaar shareef-zaade
ham-shakl parchaaiyon ke khauf se
parchaaiyon mein tabdeel ho jaayenge
aur
be-masrif din bhar ki thaki hui raat ko
ek aur mashghala mil jaayega
सारे दिन की थकी,
वीरान और बे-मसरफ़ रात को
एक अजीब मश्ग़ला हाथ आ गया है
अब वो!
सारे शहर की आवारा परछाइयों को
जिस्म देने की कोशिश में मसरूफ़ है
मुझे मालूम है
अगर गुम-नाम परछाइयों को
उन की पहचान मिल गई
तो शहर के मुअज़्ज़ज़ और इबादत-गुज़ार शरीफ़-ज़ादे
हम-शक्ल परछाइयों के ख़ौफ़ से
परछाइयों में तब्दील हो जाएँगे
और
बे-मसरफ़ दिन भर की थकी हुई रात को
एक और मश्ग़ला मिल जाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aashufta Changezi
our suggestion based on Aashufta Changezi
As you were reading Kamar Shayari Shayari