musaafir hue phir ik andhe safar ke | मुसाफ़िर हुए फिर इक अंधे सफ़र के

  - Aashufta Changezi

musaafir hue phir ik andhe safar ke
pata tay-shuda mausamon ka
kahi kho gaya hai
bade shehar ke ik club mein
diwali manaate hue
kal kisi ne kaha tha
cinema ke parde
kai teej tyaohar mele samete hue hain
tumhein fikr kaisi
ye kyun rang chehre ka feeka pada hai
tumheen sust qadmon pe naadim hue the
tumheen ko havas thi
ki raftaar qaabu mein kar len khalaayein khangalen
gaye mausamon ka janaaza uthaaye
kahaan ja rahe ho
koi ibn-e-maryam na haath aa sakega
chalo us ko mitti ke neeche daba den
yahi aane waalon ke haq mein
munaasib rahega

मुसाफ़िर हुए फिर इक अंधे सफ़र के
पता तय-शुदा मौसमों का
कहीं खो गया है
बड़े शहर के इक क्लब में
दीवाली मनाते हुए
कल किसी ने कहा था
सिनेमा के पर्दे
कई तीज त्यौहार मेले समेटे हुए हैं
तुम्हें फ़िक्र कैसी
ये क्यूँ रंग चेहरे का फीका पड़ा है
तुम्हीं सुस्त क़दमों पे नादिम हुए थे
तुम्हीं को हवस थी
कि रफ़्तार क़ाबू में कर लें ख़लाएँ खंगालें
गए मौसमों का जनाज़ा उठाए
कहाँ जा रहे हो
कोई इब्न-ए-मरयम न हाथ आ सकेगा
चलो उस को मिट्टी के नीचे दबा दें
यही आने वालों के हक़ में
मुनासिब रहेगा

  - Aashufta Changezi

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aashufta Changezi

As you were reading Shayari by Aashufta Changezi

Similar Writers

our suggestion based on Aashufta Changezi

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari