ghiraunda raushni se tar nahin hai
kisi darvesh ka ye dar nahin hai
tumhaari tarah aakhir ban gaya hoon
jo kuchh andar hai vo baahar nahin hai
meri tasveer mein sab rang bhar do
mera dil dil hi hai patthar nahin hai
lahu mein ghul gaya hai ishq aatish
dil-e-naadaan thikaane par nahin hai
घिरौंदा रौशनी से तर नहीं है
किसी दरवेश का ये दर नहीं है
तुम्हारी तरह आख़िर बन गया हूँ
जो कुछ अंदर है वो बाहर नहीं है
मेरी तस्वीर में सब रंग भर दो
मेरा दिल दिल ही है पत्थर नहीं है
लहू में घुल गया है इश्क़ आतिश
दिल-ए-नादाँ ठिकाने पर नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aatish Indori
our suggestion based on Aatish Indori
As you were reading Wahshat Shayari Shayari