zor se kheenchne se taar bikhar jaayega
motiyon se bana ye haar bikhar jaayega
ek bas aap hi hain jis pe lutaaya sab hai
aapke jaane se sansaar bikhar jaayega
dil to kehta hai tumhaara ki muafi maango
dar rahe ho ki ahankaar bikhar jaayega
masale hain to ye behtar hai ki hal kar lijye
yun jhagadne se to ghar-baar bikhar jaayega
ज़ोर से खींचने से तार बिखर जाएगा
मोतियों से बना ये हार बिखर जाएगा
एक बस आप ही हैं जिस पे लुटाया सब है
आपके जाने से संसार बिखर जाएगा
दिल तो कहता है तुम्हारा कि मुआफ़ी माँगो
डर रहे हो कि अहंकार बिखर जाएगा
मसअले हैं तो ये बेहतर है कि हल कर लीजे
यूँ झगड़ने से तो घर-बार बिखर जाएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aatish Indori
our suggestion based on Aatish Indori
As you were reading Narazgi Shayari Shayari