ishq gul ka nahin khushboo ka safar hai jaanaan | इश्क़ गुल का नहीं ख़ुशबू का सफ़र है जानाँ

  - Aatish Indori

ishq gul ka nahin khushboo ka safar hai jaanaan
ik yahi baat hai jiska mujhe dar hai jaanaan

tum se mil ke ho gaya hoon main tumhaare jaisa
isliye sirf mujhe meri khabar hai jaanaan

saccha vaada karo mujhse yun hi mat bahlaao
mas'ala yah hai ki kamzor nazar hai jaanaan

raasta khoob bataate ja rahe ho lekin
kahte hain ishq to anjaan safar hai jaanaan

aapko hai ye shikaayat ki wafa kam kar di
yah asar aapki sohbat ka asar hai jaanaan

इश्क़ गुल का नहीं ख़ुशबू का सफ़र है जानाँ
इक यही बात है जिसका मुझे डर है जानाँ

तुम से मिल के हो गया हूँ मैं तुम्हारे जैसा
इसलिए सिर्फ़ मुझे मेरी ख़बर है जानाँ

सच्चा वादा करो मुझसे यूँ ही मत बहलाओ
मसअला यह है कि कमज़ोर नज़र है जानाँ

रास्ता ख़ूब बताते जा रहे हो लेकिन
कहते हैं इश्क़ तो अंजान सफ़र है जानाँ

आपको है ये शिकायत कि वफ़ा कम कर दी
यह असर आपकी सोहबत का असर है जानाँ

  - Aatish Indori

Mashwara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aatish Indori

As you were reading Shayari by Aatish Indori

Similar Writers

our suggestion based on Aatish Indori

Similar Moods

As you were reading Mashwara Shayari Shayari