shaam ko roz bulandi se utar aate hain | शाम को रोज़ बुलंदी से उतर आते हैं

  - Aatish Indori

shaam ko roz bulandi se utar aate hain
jo parinde hain vo to laut ke ghar aate hain

umr bhar saath nibhaane ko koi kehta hai
tab muhabbat mein agar aur magar aate hain

unko vyaapaar hi vyaapaar nazar aata hai
log jo jism ki galiyon se guzar aate hain

be-wafaon ki bataata hoon anoothi pehchaan
ve ziyaada hi wafaadar nazar aate hain

शाम को रोज़ बुलंदी से उतर आते हैं
जो परिंदे हैं वो तो लौट के घर आते हैं

उम्र भर साथ निभाने को कोई कहता है
तब मुहब्बत में अगर और मगर आते हैं

उनको व्यापार ही व्यापार नज़र आता है
लोग जो जिस्म की गलियों से गुज़र आते हैं

बे-वफ़ाओं की बताता हूँ अनूठी पहचान
वे ज़ियादा ही वफ़ादार नज़र आते हैं

  - Aatish Indori

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aatish Indori

As you were reading Shayari by Aatish Indori

Similar Writers

our suggestion based on Aatish Indori

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari