jiski jaisi samajh wahin pahunchen
log tah tak magar nahin pahunchen
bewafaon kii baat kya kijeye
ve abhaage kahin nahin pahunchen
kya sunaayein vyatha budhaape kii
ghar pahunch ke bhi ghar nahin pahunchen
tod kar jinse aaye the rishte
ghoom phir kar magar wahin pahunchen
rooh kii baat kar rahi thi main
aap lekin sahi nahin pahunchen
जिसकी जैसी समझ वहीं पहुँचे
लोग तह तक मगर नहीं पहुँचे
बेवफ़ाओं की बात क्या कीजे
वे अभागे कहीं नहीं पहुँचे
क्या सुनाएँ व्यथा बुढ़ापे की
घर पहुँच के भी घर नहीं पहुँचे
तोड़ कर जिनसे आए थे रिश्ते
घूम फिर कर मगर वहीं पहुँचे
रूह की बात कर रही थी मैं
आप लेकिन सही नहीं पहुँचे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aatish Indori
our suggestion based on Aatish Indori
As you were reading Aadmi Shayari Shayari