bhor hone ko hai har raat ko yun samjha hai
mushkilon se bhare haalaat ko yun samjha hai
shaant is tarah hi hoti hai pahaadi naddi
har ubalte huye jazbaat ko yun samjha hai
mera kirdaar kahaani mein abhi hai zinda
baad muddat ki mulaqaat ko yun samjha hai
imtihaanon ke liye gyaan mila hai aatish
zindagi mein mili har maat ko yun samjha hai
भोर होने को है हर रात को यूँ समझा है
मुश्किलों से भरे हालात को यूँ समझा है
शांत इस तरह ही होती है पहाड़ी नद्दी
हर उबलते हुये जज़्बात को यूँ समझा है
मेरा किरदार कहानी में अभी है ज़िंदा
बाद मुद्दत की मुलाक़ात को यूँ समझा है
इम्तिहानों के लिये ज्ञान मिला है आतिश
ज़िन्दगी में मिली हर मात को यूँ समझा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Aatish Indori
our suggestion based on Aatish Indori
As you were reading Jazbaat Shayari Shayari