shahaadat dene mein aage rahe har waqt makkaari nahin ki | शहादत देने में आगे रहे हर वक़्त, मक्कारी नहीं की - Aatish Indori

shahaadat dene mein aage rahe har waqt makkaari nahin ki
mila laalach bahut lekin watan ke saath gaddaari nahin ki

mukammal ho nahi paai muhabbat kyunki hoshiyaari nahin ki
raqeebon ki tarah pehle se maine koi taiyaari nahin ki

ameeron ki tarah koi bhi harqat hamne bazaari nahin ki
mashqat se muhabbat ko kamaaya hai khareedaari nahin ki

wafaadaari ki lekin doosron ki tarah adaakaari nahin ki
isee kaaran se tumko lagta hai maine wafaadaari nahin ki

शहादत देने में आगे रहे हर वक़्त, मक्कारी नहीं की
मिला लालच बहुत लेकिन वतन के साथ ग़द्दारी नहीं की

मुकम्मल हो नही पाई मुहब्बत क्यूँकि हुशियारी नहीं की
रक़ीबों की तरह पहले से मैंने कोई तैयारी नहीं की

अमीरों की तरह कोई भी हरक़त हमने बाज़ारी नहीं की
मशक़्क़त से मुहब्बत को कमाया है ख़रीदारी नहीं की

वफ़ादारी की लेकिन दूसरों की तरह अदाकारी नहीं की
इसी कारण से तुमको लगता है मैंने वफ़ादारी नहीं की

- Aatish Indori
1 Like

Patriotic Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aatish Indori

As you were reading Shayari by Aatish Indori

Similar Writers

our suggestion based on Aatish Indori

Similar Moods

As you were reading Patriotic Shayari Shayari