aks jab tera mujhe usme mila to hans diya main | अक्स जब तेरा मुझे उसमे मिला तो हॅंस दिया मैं

  - Yusha Abbas 'Amr'

aks jab tera mujhe usme mila to hans diya main
gaur se dekha jo maine aaina to hans diya main

tohmaten sab jhelta tha laila majnun khelta tha
ek patthar jab mere sar pe pada to hans diya main

maut mujh tak aa rahi thi noor sa ik chhaa raha tha
noor ke peechhe tira chehra dikha to hans diya main

meri saanson kii rawaani aakhiri manzil pe pahunchi
intiha pe phir mili ik ibtida to hans diya main

main khada shamshaan mein taaza yateemi chakh raha tha
us chitaa mein main jo ladka sa dikha to hans diya mein

raat din seencha jise tha maine apne aansuon se
hai ajab vo jab hua mujhse juda to hans diya main

har taraf afsurdagi thi haadse the bekli thi
jo na dooja raasta koii dikha to hans diya main

har sipar ko todta tha main muqaddar modtaa tha
vaar se apne hi main jab khud gira to hans diya main

main to yusha ro raha tha ek jamghat hans raha tha
haan magar jab vo bhi mujhpe hans pada to hans diya main

अक्स जब तेरा मुझे उसमे मिला तो हॅंस दिया मैं
ग़ौर से देखा जो मैने आइना तो हॅंस दिया मैं

तोहमतें सब झेलता था लैला मजनूॅं खेलता था
एक पत्थर जब मेरे सर पे पड़ा तो हॅंस दिया मैं

मौत मुझ तक आ रही थी नूर सा इक छा रहा था
नूर के पीछे तिरा चेहरा दिखा तो हॅंस दिया मैं

मेरी साॅंसों की रवानी आख़िरी मंज़िल पे पहुॅंची
इंतिहा पे फिर मिली इक इब्तिदा तो हॅंस दिया मैं

मैं खड़ा शमशान में ताज़ा यतीमी चख रहा था
उस चिता में मैं जो लड़का सा दिखा तो हॅंस दिया में

रात दिन सींचा जिसे था मैंने अपने ऑंसुओं से
है अजब वो जब हुआ मुझसे जुदा तो हॅंस दिया मैं

हर तरफ़ अफ़सुरदगी थी हादसे थे बेकली थी
जो न दूजा रास्ता कोई दिखा तो हॅंस दिया मैं

हर सिपर को तोड़ता था मैं मुक़द्दर मोड़ता था
वार से अपने ही मैं जब ख़ुद गिरा तो हॅंस दिया मैं

मैं तो यूशा रो रहा था एक जमघट हॅंस रहा था
हाॅं मगर जब वो भी मुझपे हॅंस पड़ा तो हॅंस दिया मैं

  - Yusha Abbas 'Amr'

More by Yusha Abbas 'Amr'

As you were reading Shayari by Yusha Abbas 'Amr'

Similar Writers

our suggestion based on Yusha Abbas 'Amr'

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari