gulon si guftugoo karein qayaamaton ke darmiyaan
ham aise log ab milen hikaayaton ke darmiyaan
lahooluhaan ungaliyaan hain aur chup khadi hoon main
gul o saman ki be-panaah chaahaton ke darmiyaan
hateliyon ki ot hi charaagh le chaloon abhi
abhi sehar ka zikr hai rivaayaton ke darmiyaan
jo dil mein thi nigaah si nigaah mein kiran si thi
vo dastaan uljh gai vazaahaton ke darmiyaan
sahifa-e-hayaat mein jahaan jahaan likhi gai
likhi gai hadees-e-jaan zaraahaton ke darmiyaan
koi nagar koi gali shajar ki chaanv hi sahi
ye zindagi na kat sake masaafton ke darmiyaan
ab us ke khaal-o-khud ka rang mujh se poochna abas
nigaah jhapak jhapak gai iraadaton ke darmiyaan
saba ka haath thaam kar ada na chal sakogi tum
tamaam umr khwaab khwaab saaton ke darmiyaan
गुलों सी गुफ़्तुगू करें क़यामतों के दरमियाँ
हम ऐसे लोग अब मिलें हिकायतों के दरमियाँ
लहूलुहान उँगलियाँ हैं और चुप खड़ी हूँ मैं
गुल ओ समन की बे-पनाह चाहतों के दरमियाँ
हथेलियों की ओट ही चराग़ ले चलूँ अभी
अभी सहर का ज़िक्र है रिवायतों के दरमियाँ
जो दिल में थी निगाह सी निगाह में किरन सी थी
वो दास्ताँ उलझ गई वज़ाहतों के दरमियाँ
सहीफ़ा-ए-हयात में जहाँ जहाँ लिखी गई
लिखी गई हदीस-ए-जाँ जराहतों के दरमियाँ
कोई नगर कोई गली शजर की छाँव ही सही
ये ज़िंदगी न कट सके मसाफ़तों के दरमियाँ
अब उस के ख़ाल-ओ-ख़द का रंग मुझ से पूछना अबस
निगह झपक झपक गई इरादतों के दरमियाँ
सबा का हाथ थाम कर 'अदा' न चल सकोगी तुम
तमाम उम्र ख़्वाब ख़्वाब साअतों के दरमियाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ada Jafarey
our suggestion based on Ada Jafarey
As you were reading Andaaz Shayari Shayari