honton pe kabhi un ke mera naam hi aaye | होंटों पे कभी उन के मिरा नाम ही आए

  - Ada Jafarey

honton pe kabhi un ke mera naam hi aaye
aaye to sahi bar-sar-e-ilzaam hi aaye

hairaan hain lab-basta hain dil-geer hain gunche
khushboo ki zabaani tira paighaam hi aaye

lamhaat-e-masarrat hain tasavvur se gurezaan
yaad aaye hain jab bhi gham-o-aalaam hi aaye

taaron se saja lenge rah-e-shehr-e-tamanna
maqdoor nahin subh chalo shaam hi aaye

kya raah badlne ka gila hamsafaron se
jis rah se chale tere dar-o-baam hi aaye

thak-haar ke baithe hain sar-e-koo-e-tamanna
kaam aaye to phir jazba-e-naakaam hi aaye

baaki na rahe saakh ada dasht-e-junoon ki
dil mein agar andesha-e-anjaam hi aaye

होंटों पे कभी उन के मिरा नाम ही आए
आए तो सही बर-सर-ए-इलज़ाम ही आए

हैरान हैं लब-बस्ता हैं दिल-गीर हैं ग़ुंचे
ख़ुश्बू की ज़बानी तिरा पैग़ाम ही आए

लम्हात-ए-मसर्रत हैं तसव्वुर से गुरेज़ाँ
याद आए हैं जब भी ग़म-ओ-आलाम ही आए

तारों से सजा लेंगे रह-ए-शहर-ए-तमन्ना
मक़्दूर नहीं सुब्ह चलो शाम ही आए

क्या राह बदलने का गिला हम-सफ़रों से
जिस रह से चले तेरे दर-ओ-बाम ही आए

थक-हार के बैठे हैं सर-ए-कू-ए-तमन्ना
काम आए तो फिर जज़्बा-ए-नाकाम ही आए

बाक़ी न रहे साख 'अदा' दश्त-ए-जुनूँ की
दिल में अगर अंदेशा-ए-अंजाम ही आए

  - Ada Jafarey

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ada Jafarey

As you were reading Shayari by Ada Jafarey

Similar Writers

our suggestion based on Ada Jafarey

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari