aage hareem-e-gham se koi raasta na tha | आगे हरीम-ए-ग़म से कोई रास्ता न था

  - Ada Jafarey

aage hareem-e-gham se koi raasta na tha
achha hua ki saath kisi ko liya na tha

daaman-e-chaak chaak gulon ko bahaana tha
dil ka jo rang tha vo nazar se chhupa na tha

rang-e-shafaq ki dhoop khili thi qadam qadam
maqtal mein subh-o-shaam ka manzar juda na tha

kya bojh tha ki jis ko uthaaye hue the log
mud kar kisi ki samt koi dekhta na tha

kuchh itni raushni mein the chehron ke aaine
dil us ko dhoondhta tha jise jaanta na tha

kuchh log sharmasaar khuda jaane kyun hue
apne siva hamein to kisi se gila na tha

har ik qadam utha tha naye mausamon ke saath
vo jo sanam taraash tha but poojta na tha

jis dar se dil ko zauq-e-ibaadat ata hua
us aastaan-e-shauq pe sajda rawa na tha

aandhi mein burg-e-gul ki zabaan se ada hua
vo raaz jo kisi se abhi tak kaha na tha

आगे हरीम-ए-ग़म से कोई रास्ता न था
अच्छा हुआ कि साथ किसी को लिया न था

दामान-ए-चाक चाक गुलों को बहाना था
दिल का जो रंग था वो नज़र से छुपा न था

रंग-ए-शफ़क़ की धूप खिली थी क़दम क़दम
मक़्तल में सुब्ह-ओ-शाम का मंज़र जुदा न था

क्या बोझ था कि जिस को उठाए हुए थे लोग
मुड़ कर किसी की सम्त कोई देखता न था

कुछ इतनी रौशनी में थे चेहरों के आइने
दिल उस को ढूँढता था जिसे जानता न था

कुछ लोग शर्मसार ख़ुदा जाने क्यूँ हुए
अपने सिवा हमें तो किसी से गिला न था

हर इक क़दम उठा था नए मौसमों के साथ
वो जो सनम तराश था बुत पूजता न था

जिस दर से दिल को ज़ौक़-ए-इबादत अता हुआ
उस आस्तान-ए-शौक़ पे सज्दा रवा न था

आँधी में बर्ग-ए-गुल की ज़बाँ से अदा हुआ
वो राज़ जो किसी से अभी तक कहा न था

  - Ada Jafarey

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ada Jafarey

As you were reading Shayari by Ada Jafarey

Similar Writers

our suggestion based on Ada Jafarey

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari