ye hukm hai tiri raahon mein doosra na mile | ये हुक्म है तिरी राहों में दूसरा न मिले

  - Ada Jafarey

ye hukm hai tiri raahon mein doosra na mile
shameem-e-jaan tujhe pairahan-e-sabaa na mile

bujhi hui hain nigaahen ghubaar hai ki dhuaan
vo raasta hai ki apna bhi naqsh-e-paa na mile

jamaal-e-shab mere khwaabon ki raushni tak hai
khuda-na-karda charaagon ki lau badha na mile

qadam qadam meri veeraaniyon ke rang-mahal
dilon ko zakham ki saughaat-e-khusrawaana mile

tum is dayaar mein insaan ko dhoondhti ho jahaan
wafa mile to b-ehsaas-e-mujrimaana mile

gaye dinon ke hawaale se tum ko pahchaana
ham aaj khud se mile aur waalihana mile

kidhar se sang chala tha ada kahaan pahuncha
jo ek thes se tooten unhen baha na mile

ये हुक्म है तिरी राहों में दूसरा न मिले
शमीम-ए-जाँ तुझे पैराहन-ए-सबा न मिले

बुझी हुई हैं निगाहें ग़ुबार है कि धुआँ
वो रास्ता है कि अपना भी नक़्श-ए-पा न मिले

जमाल-ए-शब मिरे ख़्वाबों की रौशनी तक है
ख़ुदा-न-कर्दा चराग़ों की लौ बढ़ा न मिले

क़दम क़दम मिरी वीरानियों के रंग-महल
दिलों को ज़ख़्म की सौग़ात-ए-ख़ुसरवाना मिले

तुम इस दयार में इंसाँ को ढूँढती हो जहाँ
वफ़ा मिले तो ब-एहसास-ए-मुजरिमाना मिले

गए दिनों के हवाले से तुम को पहचाना
हम आज ख़ुद से मिले और वालिहाना मिले

किधर से संग चला था 'अदा' कहाँ पहुँचा
जो एक ठेस से टूटें उन्हें बहा न मिले

  - Ada Jafarey

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ada Jafarey

As you were reading Shayari by Ada Jafarey

Similar Writers

our suggestion based on Ada Jafarey

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari