bhookh ke ehsaas ko sher-o-sukhan tak le chalo | भूख के एहसास को शेर-ओ-सुख़न तक ले चलो

  - Adam Gondvi

bhookh ke ehsaas ko sher-o-sukhan tak le chalo
ya adab ko muflison kii anjuman tak le chalo

jo ghazal maashooq ke jalwon se waqif ho gai
usko ab bewa ke maathe kii shikan tak le chalo

mujhko sabr-o-zabt kii taaleem dena baad mein
pehle apni rahbari ko aacharan tak le chalo

khud ko zakhami kar rahe hain ghair ke dhoke mein log
is shehar ko raushni ke baankpan tak le chalo

भूख के एहसास को शेर-ओ-सुख़न तक ले चलो
या अदब को मुफ़्लिसों की अंजुमन तक ले चलो

जो ग़ज़ल माशूक़ के जलवों से वाक़िफ़ हो गई
उसको अब बेवा के माथे की शिकन तक ले चलो

मुझको सब्र-ओ-ज़ब्त की तालीम देना बाद में
पहले अपनी रहबरी को आचरन तक ले चलो

ख़ुद को ज़ख़्मी कर रहे हैं ग़ैर के धोखे में लोग
इस शहर को रौशनी के बाँकपन तक ले चलो

  - Adam Gondvi

More by Adam Gondvi

As you were reading Shayari by Adam Gondvi

Similar Writers

our suggestion based on Adam Gondvi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari