bankar sabhi faqeer kii main manzilaa phiroon
har dard in gareeb ka main odhta phiroon
har kaam aaj kal pe sada taalta phiroon
kaise milengi manzilen phir bujhta phiroon
laai hai dekh zindagi kis mod par mujhe
ab apne haq kii rotiyaan bhi maangata phiroon
eemaandaar ban gaya palta nahin hai pet
gard-o-ghubaar raah kii bas chaanta phiroon
kab se na jaane dil mein ki baitha hua hai vo
aur main idhar-udhar ki use dhoondhta phiroon
बनकर सभी फ़क़ीर की मैं मंज़िला फिरूँ
हर दर्द इन ग़रीब का मैं ओढ़ता फिरूँ
हर काम आज कल पे सदा टालता फिरूँ
कैसे मिलेंगी मंज़िलें फिर बूझता फिरूँ
लाई है देख ज़िंदगी किस मोड़ पर मुझे
अब अपने हक़ की रोटियाँ भी माँगता फिरूँ
ईमानदार बन गया पलता नहीं है पेट
गर्द-ओ-ग़ुबार राह की बस छानता फिरूँ
कब से न जाने दिल में कि बैठा हुआ है वो
और मैं इधर-उधर कि उसे ढूँढता फिरूँ
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari