masjid bhi hil gaeein are mandir bhi hil gaye
allah ke gale se jo bhagwaan mil gaye
chal kam se kam ki zindagi tujhko to mil gai
ham to janam se pehle hi mitti mein mil gaye
ye log kaise zindagi jee lete chaar din
ham to bas ek pal mein hi bakse mein sil gaye
phir haath se hi qaum ke talwaar gir gai
sab log saath mein jabhi kaabe mein mil gaye
cheekhen uthi hain bhookh se aisi faqeer kii
dair-o-haram kii neev ke patthar bhi hil gaye
manzoor hain shuroo se gham-angez hi mujhe
phir kyun idhar guzar ke tire gham-gusil gaye
jinko kabhi jahaan ne milne nahin diya
vo dil khuda ke shukr se jannat mein mil gaye
dhundhe the ham khuda ko na poocho kahaan kahaan
lutte hue ki qaafilon mein vo bhi mil gaye
ghairon ke jurm se kabhi apnon kii maar se
jeete jee mil nahin sake jannat mein mil gaye
hardam hue hain jurm mohabbat ke phoolon par
jo khil nahin sake yahan jannat mein khil gaye
aise bhi log the mile duniya kii bheed mein
khud taanke kaat kar mere zakhamon ko sil gaye
मस्जिद भी हिल गईं अरे मंदिर भी हिल गए
अल्लाह के गले से जो भगवान मिल गए
चल कम से कम कि ज़िंदगी तुझको तो मिल गई
हम तो जनम से पहले ही मिट्टी में मिल गए
ये लोग कैसे ज़िंदगी जी लेते चार दिन
हम तो बस एक पल में ही बक्से में सिल गए
फिर हाथ से ही क़ौम के तलवार गिर गई
सब लोग साथ में जभी काबे में मिल गए
चीखें उठी हैं भूख से ऐसी फ़क़ीर की
दैर-ओ-हरम की नींव के पत्थर भी हिल गए
मंज़ूर हैं शुरू से ग़म-अंगेज़ ही मुझे
फिर क्यूँ इधर गुज़र के तिरे ग़म-गुसिल गए
जिनको कभी जहान ने मिलने नहीं दिया
वो दिल ख़ुदा के शुक्र से जन्नत में मिल गए
ढूँढे थे हम ख़ुदा को न पूछो कहाँ कहाँ
लुटते हुए कि क़ाफ़िलों में वो भी मिल गए
ग़ैरों के जुर्म से कभी अपनों की मार से
जीते जी मिल नहीं सके जन्नत में मिल गए
हरदम हुए हैं जुर्म मोहब्बत के फूलों पर
जो खिल नहीं सके यहाँ जन्नत में खिल गए
ऐसे भी लोग थे मिले दुनिया की भीड़ में
ख़ुद टाँके काट कर मिरे ज़ख़्मों को सिल गए
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari