meri zindagi tire haath mein ise khaar kar tu ya phool kar
mera tazkira na sahi magar meri zillatein to qubool kar
meri jhoot-moot kii dastaan jo bana bana ke suna raha
are aapka hi habeeb hai mujhe thaam lo use bhool kar
koii guftagoo chal udhar rahi thi mujhe khayal ye aa gaya
ki tan-e-nazaar ko choom loon tiri baahon mein abhi jhool kar
koii qist zakhm kii bhar raha hai na sood saans ka de raha
meri zindagi ka hisaab kitna raha hai kispe vasool kar
are kya hua jo ghubaar hoon ya nazeer hoon ya hafiz hoon
main har ek roop mein hoon tira mujhe har ada mein qubool kar
ki tire vujood se chal rahi hain meri hayaat kii doriyaan
mujhe chhodna nahin beech rah-e-fana mein aise fuzool kar
मिरी ज़िंदगी तिरे हाथ में इसे ख़ार कर तू या फूल कर
मिरा तज़्किरा न सही मगर मिरी ज़िल्लतें तो क़ुबूल कर
मिरी झूट-मूट की दास्ताँ जो बना बना के सुना रहा
अरे आपका ही हबीब है मुझे थाम लो उसे भूल कर
कोई गुफ़्तगू चल उधर रही थी मुझे ख़याल ये आ गया
कि तन-ए-नज़ार को चूम लूँ तिरी बाहों में अभी झूल कर
कोई क़िस्त ज़ख़्म की भर रहा है न सूद साँस का दे रहा
मिरी ज़िंदगी का हिसाब कितना रहा है किसपे वसूल कर
अरे क्या हुआ जो ग़ुबार हूँ या नज़ीर हूँ या हफ़ीज़ हूँ
मैं हर एक रूप में हूँ तिरा मुझे हर अदा में क़ुबूल कर
कि तिरे वजूद से चल रही हैं मिरी हयात की डोरियाँ
मुझे छोड़ना नहीं बीच राह-ए-फ़ना में ऐसे फ़ुज़ूल कर
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari