aankhon mein saaf chaandni lab pe tire gulaal hai
paazeb teri doodh sii naakhooni laal laal hai
ghar ghar mera hi sog hai sab ro rahe hain raat se
jab main kisi ka tha nahin phir kyun mera malaal hai
bijli gira rahi kabhi afsoon chala rahi kabhi
kartab dikhe kai kai teri nazar kamaal hai
sharma rahi hai chaandni husn-o-jamaal dekh ke
chhipne laga hai chaand bhi ye sab tira kamaal hai
ahad-e-wafaa nahin raha phir kyun bula raha mujhe
aaya hoon kaam chhodkar tujhse yahi sawaal hai
आँखों में साफ़ चाँदनी लब पे तिरे गुलाल है
पाज़ेब तेरी दूध सी नाख़ूनी लाल लाल है
घर घर मिरा ही सोग है सब रो रहे हैं रात से
जब मैं किसी का था नहीं फिर क्यूँ मेरा मलाल है
बिजली गिरा रही कभी अफ़्सूँ चला रही कभी
करतब दिखे कई कई तेरी नज़र कमाल है
शर्मा रही है चाँदनी हुस्न-ओ-जमाल देख के
छिपने लगा है चाँद भी ये सब तिरा कमाल है
अहद-ए-वफ़ा नहीं रहा फिर क्यूँ बुला रहा मुझे
आया हूँ काम छोड़कर तुझसे यही सवाल है
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari