aaj phir mohabbat ka vo sawaal kar baithe | आज फिर मोहब्बत का वो सवाल कर बैठे

  - Prashant Kumar

aaj phir mohabbat ka vo sawaal kar baithe
beech raaste mein hi kya bawaal kar baithe

kaanch kii kamar uski kaanch ke surin dono
kaanch ka badan poora vo sanbhaal kar baithe

main tumhaara kal bhi tha aaj bhi tumhaara hoon
tum to ishq kii duniya khud halaal kar baithe

har bahu se beti se iltijaa hai aangan mein
jab bhi baithe to pallu sar pe daal kar baithe

main khudi chala aata dekh kar ye khanjar tum
mujh gareeb ka itna kyun khayal kar baithe

आज फिर मोहब्बत का वो सवाल कर बैठे
बीच रास्ते में ही क्या बवाल कर बैठे

काँच की कमर उसकी काँच के सुरीं दोनों
काँच का बदन पूरा वो सँभाल कर बैठे

मैं तुम्हारा कल भी था आज भी तुम्हारा हूँ
तुम तो इश्क़ की दुनिया ख़ुद हलाल कर बैठे

हर बहू से बेटी से इल्तिजा है आँगन में
जब भी बैठे तो पल्लू सर पे डाल कर बैठे

मैं ख़ुदी चला आता देख कर ये ख़ंजर तुम
मुझ ग़रीब का इतना क्यूँ ख़याल कर बैठे

  - Prashant Kumar

Gareebi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading Gareebi Shayari Shayari