mujhe abhi tak samajh na aaya mughalata par yaqeen kyun hai | मुझे अभी तक समझ न आया मुग़ालता पर यक़ीन क्यूँ है

  - Prashant Kumar

mujhe abhi tak samajh na aaya mughalata par yaqeen kyun hai
agar kahin bhi khuda nahin hai to phir khuda par yaqeen kyun hai

tire hi munh se suna hai maine main bewafa hoon main bewafa hoon
main bewafa hoon to is jahaan ko meri wafa par yaqeen kyun hai

agar sabhi ko main baddua de raha hoon to ye batao hamdam
jo jee rahe hain meri dua se unhen dua par yaqeen kyun hai

tire idhar bhi mere idhar bhi sabhi pujaari wafa ke hi hain
to ye bata de ki in sabhi ko kafa-jafa par yaqeen kyun hai

mujhe bata de kaha hai kisne ki bhoot hote nahin kahin bhi
to khelte kyun hain log idhar ke inhen hawa par yaqeen kyun hai

मुझे अभी तक समझ न आया मुग़ालता पर यक़ीन क्यूँ है
अगर कहीं भी ख़ुदा नहीं है तो फिर ख़ुदा पर यक़ीन क्यूँ है

तिरे ही मुँह से सुना है मैंने मैं बेवफ़ा हूँ मैं बेवफ़ा हूँ
मैं बेवफ़ा हूँ तो इस जहाँ को मिरी वफ़ा पर यक़ीन क्यूँ है

अगर सभी को मैं बद्दुआ दे रहा हूँ तो ये बताओ हमदम
जो जी रहे हैं मिरी दुआ से उन्हें दुआ पर यक़ीन क्यूँ है

तिरे इधर भी मिरे इधर भी सभी पुजारी वफ़ा के ही हैं
तो ये बता दे कि इन सभी को कफ़ा-जफ़ा पर यक़ीन क्यूँ है

मुझे बता दे कहा है किसने कि भूत होते नहीं कहीं भी
तो खेलते क्यूँ हैं लोग इधर के इन्हें हवा पर यक़ीन क्यूँ है

  - Prashant Kumar

More by Prashant Kumar

As you were reading Shayari by Prashant Kumar

Similar Writers

our suggestion based on Prashant Kumar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari