saara jahaan raqeeb bina baat ka raha
bekar silsila hi mulaqaat ka raha
dono jahaan mein ghark hua mera jhopda
kya daur yaar raat kii barsaat ka raha
insaan kii bata mujhe hoti hai qaum kya
dushman har ek shakhs meri zaat ka raha
main desh kya videsh mein bhi rah kar aa gaya
chaal-o-chalan magar mera dehaat ka raha
laayeq nahin tha jiske jo usne wahi liya
main hi gareeb tha gila is baat ka raha
सारा जहाँ रक़ीब बिना बात का रहा
बेकार सिलसिला ही मुलाक़ात का रहा
दोनों जहाँ में ग़र्क़ हुआ मेरा झोपड़ा
क्या दौर यार रात की बरसात का रहा
इंसान की बता मुझे होती है क़ौम क्या
दुश्मन हर एक शख़्स मिरी ज़ात का रहा
मैं देश क्या विदेश में भी रह कर आ गया
चाल-ओ-चलन मगर मिरा देहात का रहा
लाएक़ नहीं था जिसके जो उसने वही लिया
मैं ही ग़रीब था गिला इस बात का रहा
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari