tu aankh maar ke agar ik baar dekh le
to raushni ho jaayegi dil mein gareeb ke
ye fan ye tajrabaat sab aise nahin mile
din raat paanv daabe hain maine tire mere
ahl-e-waraa hai usko kabhi chhodna nahin
milte hain aise log bade hi naseeb se
andaaz har kisi ka yahan ek sa hi hai
mujhko har ek shakhs usi kii tarah mile
ye dil kisi bhi husn pe thehra nahin kabhi
saj dhaj ke sab guzar gaye iske qareeb se
तू आँख मार के अगर इक बार देख ले
तो रौशनी हो जाएगी दिल में ग़रीब के
ये फ़न ये तजरबात सब ऐसे नहीं मिले
दिन रात पाँव दाबे हैं मैंने तिरे मिरे
अहल-ए-वरा है उसको कभी छोड़ना नहीं
मिलते हैं ऐसे लोग बड़े ही नसीब से
अंदाज़ हर किसी का यहाँ एक सा ही है
मुझको हर एक शख़्स उसी की तरह मिले
ये दिल किसी भी हुस्न पे ठहरा नहीं कभी
सज धज के सब गुज़र गए इसके क़रीब से
As you were reading Shayari by Prashant Kumar
our suggestion based on Prashant Kumar
As you were reading undefined Shayari