suno khaali makaanon mein mera bhi man nahin lagta
haqeeqat mein fasaanon mein mera bhi man nahin lagta
tumhein yoon bhool jaane mein bahut mushkil to aayegi
magar aasaan kaamon mein mera bhi man nahin lagta
zameen se ishq tha so ham falak chhukar ke laut aaye
tere bin aasmaanon mein mera bhi man nahin lagta
main apne gaav kii mitti kii khushboo ka deewana hoon
nagar ke karkhanon mein mera bhi man nahin lagta
agar man ho to sun leta hoon main tahzeeb kii ghazlen
kabhi latest gaanon mein mera bhi man nahin lagta
सुनो ख़ाली मकानों में मेरा भी मन नहीं लगता
हक़ीक़त में फ़सानों में मेरा भी मन नहीं लगता
तुम्हें यूॅं भूल जाने में बहुत मुश्किल तो आयेगी
मगर आसान कामों में मेरा भी मन नहीं लगता
ज़मीं से इश्क़ था सो हम फ़लक छूकर के लौट आए
तेरे बिन आसमानों में मेरा भी मन नहीं लगता
मैं अपने गाॅंव की मिट्टी की ख़ुशबू का दिवाना हूॅं
नगर के कारखानों में मिरा भी मन नहीं लगता
अगर मन हो तो सुन लेता हूॅं मैं तहज़ीब की गजलें
कभी लेटेस्ट गानों में मेरा भी मन नहीं लगता
As you were reading Shayari by Adesh Rathore
our suggestion based on Adesh Rathore
As you were reading undefined Shayari